Physics 1st year Preparation Guidelines

Physics Physics

💎 *𝗙𝗜𝗥𝗦𝗧 𝗬𝗘𝗔𝗥 𝗣𝗛𝗬𝗦𝗜𝗖𝗦* 𝗣𝗥𝗘𝗣𝗔𝗥𝗔𝗧𝗜𝗢𝗡 𝗚𝗨𝗜𝗗𝗘𝗟𝗜𝗡𝗘𝗦 ⬇️⬇️⬇️⬇️⬇️ https://whatsapp.com/channel/0029VagaIwh4NViglGf5Oy2x> *Guidelines for 11th Physics MCQs*https://whatsapp.com/channel/0029VagaIwh4NViglGf5Oy2x

Taareekh gawah hy ke physics ke jitne marzi or jaha se marzi MCQs kar lo, paper mei wahi aaty jo pehly kabhi dekhe bhi na hon… 🥲

So, 1. `Formulas should be on your fingertips` Har chapter ki summary draw karen jis mei uske saare formulas hon. Wo formulas aapko hifz hone chahiye. Then hi aap max score kar sakty. Abhi inhi guidelines ke sath mene Preparation Material share kiya hy usme aap ko Full Book Formulas mil jayein gy.

2. Prepare `Past Paper MCQs` which are already shared.3. Preparehttps://whatsapp.com/channel/0029VagaIwh4NViglGf5Oy2x `Chapter-wise MCQs` of all the chapters.

Apko ek PDF share ki hai group ma jis ma chapter wise MCQs available han. Waha par chapter-wise MCQs banaye gaye hy. Zyada nhi hein. Notes ki nisbat to boht kam hein. Jo chapter aap karty jaaye usky sath maximum 5-15 mins lagny phir us chap ke saare MCQs karny mei. To ye sath sath hi aap karty jaayein gy to acha hy. Otherwise, ek sath agar kary gy to ye Physics hy, nhi hony waale ek sath kabhi bhi, formulas mix up ho jaaty.In Sha Allah after this, you will be able to score `17/17` marks in MCQs…>

*Guidelines for 11th Physics Short Questions*https://whatsapp.com/channel/0029VagaIwh4NViglGf5Oy2x_Remember: Physics short questions are the most easiest to prepare._

1. Almost `50-70% Short questions aap ky exercise mei se aate hein.` So, aap ne koi bhi chapter skip karna ya nhi uske exercise ke short questions to laaazmii prepare karny hein.

2. Secondly, `Past Papers` ky jo repeated short questions hein agar aap just wahi bhi kar lein to guarantee ke saath har section ke short complete ho jaaty hein. Past Papers aap sab ke paas hongy,

3. Agar thoda sa or aagy jana chahty hein to har chapter ke kuch `Conceptual Short Questions` hein jo aap ko kisi bhi notes se mil jaaye gy. Agar aap wo karna chahty hein to boht acha hy. But zaroorat nhi hy. Past Papers or Exercise kaafi hy. >

*Guidelines for 11th Physics Long Questions*

1. First of all jo bhi chapters (pairs) aap ne long ke liye choose kiye hein unke to laazmi saare long or numericals karne. Examples saari karne ki zaroorat nhi hy just imo wali kar lein enough hi ga…

2. `Extra Pair` agar aap karna chahty hein to kya karen? Mostly students 9 10 ko choose nhi karty or sahi karty wo. Or Mostly students (2 3) or (4 5) ye do pairs choose karty. Ab kuch students choose karty hein (7 8) or kuch choose karty hein (6 11). Ye dono pairs mei almost same hi effort lagta. So, ham extra pairs ki baat karen gy in chapters mei sy.3. Agar kisi ne (7 8) choose kiya hy to wo (6 11) extra pair kary ga. Yaad rakhy `extra pairs waale chapters kabhi bhi complete nhi kiye jaaty.` Unke just Imp LQs or Imp Numericals kiye jaaty hein. So chapter (6 11) ky just 4 imp long questions hein. Chapter 6 mei *`Bernoullis Equations, Equation of Continuity, Terminal Velocity.`* just ye 3 long karein. Orhttps://whatsapp.com/channel/0029VagaIwh4NViglGf5Oy2x numericals saare kar sakty to boht achy warna just imp numericals jo mei abhi send karu ga just wahi kar lein. Chapter 11 mei sy imp long *`Relation between Cp-Cv + Carnot Engine`* wala hy. Iske ilaawa baaki is chap mei sy boht kam long aaye. So extra pair waale chapter 11 ka ye long or sath imp numericals kar lein.4. Ab jinho ne (6 11) pair choose kiya hy. Or wo extra pair sath karna chahty hein to (7 8) ky just imp long kar lein. Chapter 7 mei sy *`Simple Pendulum + SHM`* wala long boht dafa aaya. Iske ilawa jitny bhi long wo boht kam aaye hein. Chapter 8 mei sy *`Speed of Sound in Air + Dopplers effect + Speed of sound in air column and stretched sprinf`* ye 2 maximum baar long aaye hein to just ye kar lena. Or sath isky numericals saare kar lo to behtar hy warna just important waale kar lena._(Extra Pairs ki taraf sirf us waqt jana hy jab tak ky aap ne jo pairs select kiye wo complete na ho jayen. Sab se pehle aap ne apne pairs ke saare long, numericals, important examples ye sab kuch karna hy. Agar time bachta hy, then aap ne extra pair ki taraf jaana warna bilkul koi zaroorat nhi h)_Follow for more 👇 https://whatsapp.com/channel/0029VagaIwh4NViglGf5Oy2x

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *