1st year Urdu Guidelines

Exam Preparation Exam Preparation

𝗙𝗜𝗥𝗦𝗧 𝗬𝗘𝗔𝗥 𝗨𝗥𝗗𝗨
𝗜𝗠𝗣𝗢𝗥𝗧𝗔𝗡𝗧 𝗚𝗨𝗜𝗗𝗘𝗟𝗜𝗡𝗘𝗦
⬇️⬇️⬇️⬇️⬇️

MCQs
Tamam Asbaq ki ek dfa reading lazmi karni hy. Iske ilawa Grammar se MCQs aaty hain jinme Shairi Istalahaat, Tazkeer o Tanees, Tashbeeh, Ista’ara or Talmeeh Shamil hoti hy… so inke liye new Quaid o Insha ya koi bhi grammar keybook hy apke paas wahan se rules parhne or mei ek PDF share karun ga MCQs wali usme in sab ke 15 20 MCQs hain per topic to wahan se ek dfa MCQs kar lene hain… In Sha Allah MCQs wala portion easily cover ho jaye ga…

Nazam or Ghazal ki Tashreeh
Ab yahan ek baat jo kabil e ghorr hy wo ye hy ke Nazm ki Tashreeh mila kar karni hoti hy or Ghazal ki alehda alehda… Han nazm ki bhi alehda alehda kar sakty koi harj nhi but Board ki Hidayaat ke mutabiq mila kar karna zyada better hy…

Important Nazams or Ghazals mei abhi bta deta hun… 90% chance hota h ke sirf in me se hi pochi jaati h Tashreeh… Ab Tashreeh karni kese hy?

  • Mafhoom aap ko lazmi likhna hy… Boht se log kehty hain je Ghazal mei bass likh do or Nazmon mei na likho to bhi chalta hy or even kuch keybooks mei bhi ghazlon ka likha hota hy or nazmon ka nhi, but aap ne aesa bilkul nhi karna!! Mafhoom boht boht acha impression dalta hy or kisi thaky hue examiner ke liye wo naimat hota hy ke usko sari tashreeh parhni nhi parhti or mafhoom parh kar hi andaza laga leta hy ke is bachy kl aati hy…
  • Har shair ka na ek chhota sa ta’ruf hota hy wo aap ne tashreeh ke starting paragraph mei lazmi likhna hota hy… lazmi in that sense ke nahi likhein gy to koi khaas farq nhi pare ga but agar likhein gy to boht acha impression bhi pare ga or length bhi increase ho gi…
  • References aap ne sab nazmon or ghazlon ke lazmi yaad karnay hain… Agar sab ke nhi to Important Nazmon or Ghazlon ke to lazmi karny hain… Agar wo bhi nhi ho saktay to ek file share kar rha hun mei usme Category-wise bane hue hain just wo yaad kar lein uske baad aap kisi bhi shair wagera mei hawala likh sakty hain…

Iqtabaas ki Tashreeh
Just First 7 Chapters kar ly to unmei se hi ek Iqtabaad aa jaata h so first 7 chapters lazmi karen.

(Then baat aati h Tashreeh mei Hawalajaat ki to koshish to yahi kary ke sab ke Hawalajaat yaad karen. Still agar nhi ho sakty to no problem mei ek pdf send karta hu abhi jis mei category ke according Hawalajaat h like Ishq ke mozoo par, gham ke mozoo par, etc so just wohi yaad kar ly or jo baat ho rahi ho uske according Hawala likh dy or ye lazmi hota h is ke bagair numbers kabhi bhi aap max nhi ly sakty.)

Sabaq ka Khulasa
First 7 Chapters kar ly to Sabaq ka khulasa ho jata h or jab aap first 7 chapters ka khulasa kary gy to unka sayaaq o sabaaq bhi ho jaaye ga. 2 mei se 1 khulasa first 7 chapters mei se hi aata h so first 7 chapters lazmi karen.

Nazam ka Khulasa
Me yahi recommend karu ga ke sab Nazamo ka khulasa kary still agar Past Papers dekhe to 80% First 9 Nazams mei se hi khulasa aata h.

Mukalma/Roodaad
Best choice yahi h ke Mukalma or Roodad kiya jaye or Roznaamcha skip kar diya jaaye. In mei bhi Mukalmy ko zyada importance di jaaye cuz 80% Roodad or Mukalmy se hi choice aati or Mukalma karna Roodad se aasan hota h.

Darkhwast/Raseed
Darkhwast or Raseed dono hi karni pade gi aapko.
New Quaid o Insha mei jitni darkhwastein hain thori si just wahi kar lein unhi mei se aa jayein gi… Raseed ki baat aati h to wo aapke pas koi bhi notes material h to waha se aapko saari just ek dafa read karni hi pade gi iska guess nhi hota koi bhi aa sakti.

Talkhees
Ye aesa question h jis ko boht se students to ready bhi nhi kar ky jaate. Just Unwaan hi to banana h bana ly gy or chhota bhi kar ly gy para ko. But believe me ye itna bhi simple question nhi h. Agar aap ne iski practice na ki ho to aaraam se 3 se 4 marks ismei cut jaate hn.

Baki best of Luck for your exams. Duaoun mei yaad rakhein 🤌🏻✨

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *